Top 10 Sad Shayari in Hindi for Love 2 Lines

 

Sad Shayari in Hindi for Love 2 Lines
Sad Shayari in Hindi for Love 2 Lines

Sad Shayari in Hindi for Love 2 Lines


khata ho gayi to saza suna do, 
dil mein itna dard hai kyon wajah bata do, 
der ho gayi hai yaad karne mein zarur, 
lekin aapko bhula denge yeh khayaal apne dil se mita do..

👉khamosh na raho khamoshi saza degi, 
muskurahat har gam ko mita degi, 
kuch pal jeelo hamare saath, 
kon jane zindagi hume kis mod pe daga degi.


👉Apna hi dil apni tabahi ka sabab hota hai, 
ye pyaar ka alam bhi ajab hota hai, 
kon si baat kiska dil tod de, 
todne walo ko ye e'h's'a'a's hi kab hota hai.

👉Ye mera dil bada nadan hai,
dil ki dhadkan iski pehchaan hai,
ae yaar tere mujpe kitne ehsaan hai,
ye meri khushi pal 2 pal ki mehmaan hai.

👉Paani ka ek katra aankh se gira abhi abhi, 
kya tumne yaad kiya abhi abhi, 
tujhse mile zamana huya agar, 
yun laga koi mujhse mil ke gaya abhi abhi.

👉Jo humein dil se chahte hain, 
hum usi ke dil mein bas jaate hain, 
samet kar rakhna hamari yaadon ko,
kyoki bhul jane ke baad hum or zyada yaad aate hain..

👉Pyar mein kisi ko khona bhi zindagi hai,
zindagi mein gamo ka hona bhi zindagi hai,
yu to rehti hai hoton par muskurahat,
par shayad chupke se rona bhi zindagi hai..

👉Har dil mein dard chupa hota hai, 
bayan karne ka andaz juda hota hai, 
kuch log ankhon se dard ko baha dete hain, 
aur kisi ka dard hansi mein chupa hota hai.

👉Zindagi 2 din ki hai, 
ek din hamare haq mein, 
ek din hamare khilaf, 
Jis din haq mein ho gurur mat karna, 
or jis din khilaf ho thoda sabar jarur karna.

👉Udaas na baitho fiza tang karegi, 
guzre huye lamhon ki saza tang karegi, 
kisi ko na lao dil ke itne kareeb, 
uske jaane ke baad uski har ek Ada tang karegi..

Read Also:-


Post a Comment

0 Comments